ishq ki sharah-e-mukhtasar ke liye sil gae hont umr-bhar ke liye zindagi dard-e-dil se katra kar dard-e-sar ban gai bashar ke liye dil azal se hai shoala pairahan shama jalti hai raat-bhar ke liye us ne dil tod kar kiya irshad ab tasalli hai umr-bhar ke liye abr-e-rahmat hai ishq ka daman aatish-e-razm khair-o-shar ke liye hum bhi ku-e-butan ko jate hain ai saba qasd hai kidhar ke liye wo tajalli hai muntazir ab tak kisi shaista-e-nazar ke liye khun-e-dil sarf kar raha hun 'rawish' khub se naqsh-e-khub-tar ke liye