hum jo ghabraen zamane se to ghar jate hain

hum jo ghabraen zamane se to ghar jate hain
jin ke ghar hi nahin hote wo kidhar jate hain

sari baaton ki hai ek baat ki kuchh baaton se
dil mein utre hue bhi dil se utar jate hain

dawe karte hain wahi log jo kuchh karte nahin
jin ko karna ho wo kahte nahin kar jate hain

hum ko hai naz bahut zabt pe apne lekin
dil agar tute to phir ashk biphar jate hain

surat-e-haal ne surat hi badal ke rakh di
log hairan se takte hain jidhar jate hain

hum to wo hain ki agar bahr-e-sajal mein utren
naw jis rukh ho taaqub mein bhanwar jate hain

zindagi maut ke pahlu mein simat jaegi
jab bhi ye sochte hain soch ke mar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close