hum hain majruh majra hai ye

hum hain majruh majra hai ye
wo namak chhidke hai maza hai ye

aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain khak intiha hai ye

bud aadam numud shabnam hai
ek do dam mein phir hua hai ye

shukr us ki jafa ka ho na saka
dil se apne hamein gila hai ye

shor se apne hashr hai parda
yun nahin jaanta ki kiya hai ye

bas hua naz ho chuka aghmaz
har ghadi hum se kiya ada hai ye

nashen uthti hain aaj yaron ki
aan baitho to khushnuma hai ye

dekh be-dam mujhe laga kahne
hai to murda sa par bala hai ye

main to chup hun wo hont chate hai
kya kahun rijhne ki ja hai ye

hai re beganagi kabhu un ne
na kaha ye ki aashna hai ye

tegh par hath dam-ba-dam kab tak
ek laga chak ki muddaa hai ye

'mir' ko kyun na mughtanim jaane
agle logon mein ek raha hai ye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close