manzur thi ye shakl tajalli ko nur ki qismat khuli tere qad-o-rukh se zuhur ki ek khun-chakan kafan mein karodon banao hain padti hai aankh tere shahidon pe hur ki waiz na tum piyo na kisi ko pila sako kya baat hai tumhaari sharab-e-tahur ki ladta hai mujh se hashr mein qatil ki kyun utha goya abhi suni nahin aawaz sur ki aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma-sanj udti si ek khabar hai zabani tuyur ki go wan nahin pa wan ke nikale hue to hain kabe se in buton ko bhi nisbat hai dur ki kya farz hai ki sab ko mile ek sa jawab aao na hum bhi sair karen koh-e-tur ki garmi sahi kalam mein lekin na is qadar ki jis se baat us ne shikayat zarur ki 'ghaalib' gar is safar mein mujhe sath le chalen haj ka sawab nazr karunga huzur ki