zom na kijo shama-ru bazm ke soz o saz par rakhiyo nazar baja-e-naz khatir-e-pir-e-naz par zeb nahin hai shaikh ye mai-kash-e-pak-baz par tohmaten sau lagaega dagh-e-jabin niyaz par kahta hun har hasin se main niyat-e-ishq hai meri aaega mera dil magar shahid-e-dil-nawaz par farq hayat o marg ka murgh-e-chaman ke dil se puchh deta hai fauq dam ko changul-e-shah-baz par khwab-e-lahad hai pur-sukun ahd-e-hayat pur-alam maut na kyun ho tana-zan zindagi-e-daraaz par sang-e-dar-e-habib par hota hun sajda-rez main khalq-e-khuda hai mo'tariz mujh pe meri namaz par munim-e-be-basar yunhi dekhiye ta-kuja rahe mahw-e-nashat o khush-dili naghma-e-tar-e-saz par fakhr-e-amal na chahiye sai-e-amal zarur hai aankh rahe lagi hui rahmat-e-karsaz par dar pe buton ke di sada 'sael'-e-be-nawa ne ye fazl-e-khuda rahe mudam haal-e-gada-nawaz par