hum hijr ke raston ki hawa dekh rahe hain manzil se pare dasht-e-bala dekh rahe hain is shahr mein ehsas ki dewi nahin rahti har shakhs ke chehre ko naya dekh rahe hain inkar bhi karne ka bahana nahin milta iqrar bhi karne ka maza dekh rahe hain tu hai bhi nahin aur nikalta bhi nahin hai hum khud ko rag-e-jaan ke siwa dekh rahe hain kuchh kah ke guzar jaega is bar zamana hum us ke tabassum ki sada dekh rahe hain