kahan kisi ki nazar hai teri nazar ki tarah jo kaam dil ka bhi karti chale jigar ki tarah bahut se aise bhi duniya mein log milte hain jo ba-khabar hain magar hain wo be-khabar ki tarah ye barbariyat-o-wahshat ye aag aur ye dhuan bashar ko rahna bhi mushkil hai ab bashar ki tarah asir-e-hur hain waiz ab un ki kaun sune kahani aap ki hai tul-e-mukhtasar ki tarah barasne ko to barasta hai abr-e-naisan bhi magar baras na saka meri chashm-e-tar ki tarah na jaane kaun se aalam mein gum hua 'asi' na ba-khabar ki tarah hai na be-khabar ki tarah