husn ko us ke khat ka dagh laga par hamein to bahaar o bagh laga ghar se jun mah-e-be-hijab nikal ab to ai shama-ru charagh laga baadshahon ki bazm-e-ishrat se apna mat gosha-e-faragh laga aatishin ashk ek dam jo thama khana-e-dida be-charagh laga le khabar ab tu saqi-e-sar-e-dast khushk hone mera dimagh laga kis ko ye khun-e-dil mili daulat us ke honton se ja ayagh laga dil-e-gum-gashta ka mere 'hasrat' lag sake to kahin suragh laga