manzil pe dhyan hum ne zara bhi agar diya aakash ne dagar ko ujalon se bhar diya rukne ki bhul haar ka karan na ban saki chalne ki dhun ne rah ko aasan kar diya pani ke bulbulon ka safar jaante hue tohfe mein dil na dena tha hum ne magar diya pipal ki chhanw bujh gai talab sad gae kis ne ye mere ganw pe ehsan kar diya ghar khet gae bail raqam ab kahan rahe jo kuchh tha sab nikal ke faslon mein bhar diya mandi ne lut lin jawan-faslen kisan ki qarze ne khud-kushi ki taraf dhyan kar diya