hum jo bichhDe hain to aankhon ko bhigote hi rahe

hum jo bichhde hain to aankhon ko bhigote hi rahe
moti palkon pe hama-waqt pirote hi rahe

hum to soe the ghani nind ki chadar odhe
khwab kya dekh liya aisa ki rote hi rahe

ya to wo de na sake dard ke lamhon ko khiraj
ya nae zakhm mile hain jinhen dhote hi rahe

is judai ki siyah-raat ne sone na diya
hum teri yaad ke lamhon ko pirote hi rahe

tum gae waqt ke manind rahe khush 'manzar'
bar-e-gham log nai nasl ke dhote hi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close