kaT gai zindagi tazabzub mein

kat gai zindagi tazabzub mein
kuchh agar kuchh magar ke bich kahin

na musalman hue na kufr kiya
rah gae khair-o-shar ke bich kahin

dar kahan hai kahan hain diwaren
kho gae apne ghar ke bich kahin

baat bahar nikal hi jati hai
koi rauzan hai dar ke bich kahin

mujh ko manzil se dur karte gae
nae raste safar ke bich kahin

sip tak rasta bana lega
ek qatra lahar ke bich kahin

un ka ghar yaad hai to bas itna
ek gali hai shahar ke bich kahin

har kahani mein ek kahani hai
ek khabar hai khabar ke bich kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close