hum junun pesha ki rahte the teri zat mein gum ho gae silsila-e-gardish-e-haalat mein gum arsa-e-wasl mein bhi harf-e-tamanna na khula husn-e-ilham raha parda-e-ayat mein gum aql angusht-ba-dandan hai nazar hairan hai kaun si chiz hui arz-o-samawat mein gum kitne kanan hue khwab-e-zulekha mein asir kitne yaqub rahe hijr ke sadmat mein gum koi mail-ba-samaat na hua sad afsos! naghma-e-dard raha sina-e-jazbaat mein gum main tere shahr se guzra hun bagule ki tarah apni duniya mein magan apne khayalat mein gum