zamin ki kokh se pahle shajar nikalta hai wo us ke baad parindon ke par nikalta hai shab-e-siyah mein jugnu bhi ek ghanimat hai zara sa hausla andar ka dar nikalta hai ki budhe ped ke tewar badalne lagte hain kahin jo ghas ka tinka bhi sar nikalta hai phir us ke baad hi deta hai kaam ki ujrat hamare khun se pahle wo zar nikalta hai wazifa tujh ko batata hun ek chahat ka jo qasr-e-zat se nafrat ka shar nikalta hai kahani likhta hai aise ki us ka har kirdar nikalna koi na chahe magar nikalta hai main aise shakhs se 'arshad' gurez kaise karun fasil-e-dil mein jo dastak se dar nikalta hai