hum kahan azmat aslaf sambhaale hue hain bas tere ishq se mathe ko ujale hue hain qais o farhad tain apne hawale hue hain yani hum masnad-e-ushshaq sambhaale hue hain jab bhi palte hain hamein haar dikhai di hai hum ne sikke ye kai bar uchhaale hue hain pyas lagti hai inhen dekh ke ai dasht-nashin teri aankhen hain ya pani ke pyale hue hain hum ne ek umr kitabon ke hawale ki hai tab kahin ja ke kitabon ke hawale hue hain aaina ban ke khade hain tere dar par chup-chap kab tere samne hum bolne wale hue hain sud badhta gaya sanson ka hamare upar hum mohabbat mein teri qarz se kale hue hain main bhi phir baith gaya dekhne qissa kya hai ret gili hai ya phir panw mein chhaale hue hain