isi mein zat ka idrak irtiqa ka shuur meri nazar mein mohabbat hai intiha ka shuur mere wajud se pahle kahan tha zikr-e-jamal kahan thi ishq si lazzat kahan wafa ka shuur jhuki jabin to aqidat se aashnai hui uthae hath to in mein pada dua ka shuur wo sar dikhae mujhe jis mein khud-sari hai abhi wo hath uncha kare jis ko hai ana ka shuur main shor-o-shar se zara fasla badhaunga samaaton mein utar aaega sada ka shuur hamara aaine par inhisar badhne laga badan mein jab se khula jism-e-mawara ka shuur ye baat jaanna lazim hai har kisi ke liye nizam-e-adl se marbut hai khuda ka shuur kahan se zehn mein aaya khayal-e-hirs-o-hawas kahan se jism ne paya hai aashna ka shuur ye sans chalni thi jalte charagh bujhne the hamein nahin bhi agar hota is hawa ka shuur ye harf-o-lafz se nisbat ye zauq-e-sher-o-sukhan ye ghaur-o-fikr hai 'shahid' mein ibtida ka shuur