hum kar chuke jab nur se tamir khuda ki phir chaaron taraf khub ki tashhir khuda ki duniya hui aabaad magar wo raha tanha majbur hai kya kijiye taqdir khuda ki dekhe na sune baat jo ushshaq ki apne is but mein nazar aati hai taswir khuda ki mulla ne riwayat-o-hikayat badhain tafsir mein gum ho gai tahrir khuda ki yak-jaan hue aadam-o-iblis ke aage aksar nahin chalti koi tadbir khuda ki