mujhe ho na phir nadamat kahin arz-e-haal kar ke main khamosh rah gaya hun yahi ehtimal kar ke na rahe koi bhi shikwa mujhe phir tere karam ka jo ata mujhe ho saqi to ho ye khayal kar ke mujhe aap ne jo dekha tha wo ittifaq lekin mere doston ne chheda mujhe kya khayal kar ke meri aarzu ko tala mujhe uljhanon mein dala kabhi kuchh sawal kar ke kabhi kuchh sawal kar ke koi gham agar nahin hai to wo kya sabab hai jis ne ai 'amir' rakh diya hai tujhe khasta-haal kar ke