husn-o-ishq ka sangam der tak nahin rahta koi bhi hasin mausam der tak nahin rahta laut jao raste se tum nae musafir ho pyar ka safar hamdam der tak nahin rahta unche unche mahlon ki dastan ye kahti hai qahqahon ka ye aalam der tak nahin rahta dil kisi ka tute ya ghar kisi ka jal jae bewafa ke dil ko gham der tak nahin rahta ho sake to chahat ki chot se bache rahna warna zakhm par marham der tak nahin rahta kyon ghurur karte ho ja ke tum bulandi par shohraton ka ye parcham der tak nahin rahta kaun jaane kab kis par zindagi thahar jae koi rustam-e-azam der tak nahin rahta