hum KHarabe mein basar kar gae KHamoshi se

hum kharabe mein basar kar gae khamoshi se
halqa-e-mauj mein gauhar gae khamoshi se

saat-e-wasl qayamat ki ghadi thahri thi
jism khamosh the dil dar gae khamoshi se

aazmaish thi kadi ku-e-wafa mein ki jahan
kaj-kulah aae subuk-sar gae khamoshi se

hum tere hijr mein aawara-sukhan ho nikle
zakhm jo tu ne diye bhar gae khamoshi se

shikwa-sanj-e-gham-e-manzil the faqat hum warna
karwan kitne safar kar gae khamoshi se

ku-e-mahbub ki shamon ko khabar hai ki nahin
sae kis samt barabar gae khamoshi se

dukh ke sannate mein yaad aaenge tujh ko hum se
jo tere dar pe sada kar gae khamoshi se

jaane zindan ke dar-o-baam ka andaz hai kya
nara-zan aae jo akasr gae khamoshi se

kuchh to thi lauh-e-azal bais-e-barbaadi-e-dil
war ahbab bhi kuchh kar gae khamoshi se

koi munim na mila dil ka ghani ya qismat
dar-ba-dar tere gadagar gae khamoshi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close