kya baat hai ki baat hi dil ki ada na ho matlab ka mere jaise koi qafiya na ho gul-dan mein saja ke hain hum log kitne khush wo shakh ek phul bhi jis par naya na ho har lamha waqt ka hai bas ek ghuncha-e-bakhil mutthi jo apni band kabhi kholta na ho ab log apne aap ko pahchante nahin pesh-e-nigah jaise koi aaina na ho wahshi hawa ki ruh thi diwar-o-dar mein raat jangal ki samt koi daricha khula na ho