khoe na kis tarah se tera eatibar jhuT

khoe na kis tarah se tera eatibar jhut
ek sach agar zaban pe hai to hazar chhut

karta hai aadmi ko bahut be-waqar jhut
chhudwa de mujh se ai mere parwardigar jhut

haq haq na kis tarah se kahun un se haal-e-dil
sach ka to eatibar nahin darkinar jhut

chhupta hai us sanam se kahin ishq-e-sakhta
isa se koi khak batae bukhar jhut

main naqsh-e-pa-e-ghair ko pahchanta hun khub
khao na mere sar ki qasam ai nigar jhut

dil ki tadap se raat ko bijli bhi mat thi
kahta nahin hai yar tera be-qarar jhut

kyunkar yaqin ho tere dahan-o-kamar ka yar
sabit kiya hai main ne tera lakh bar jhut

chhodunga main rikab na ho kar ghubar bhi
is mein samajh zara bhi na o shahsawar jhut

kya faeda agar ho koi be-chhuri halal
karte ho kyon bahana-e-said-o-shikar jhut

haq haq rahe zaban pe mansur ki tarah
bole na dar par bhi tera jaan-nisar jhut

aashiq ko rote dekh ke wada wafa kiya
chhod aati aaj ja ke wo dariya ke par jhut

allah jaanta hai jo bande buton ke hain
bolen na mar ke bhi wo miyan-e-mazar jhut

sach-much kiya jo wada-e-wasl aaj yar ne
munh se nikal gaya mere be-ikhtiyar jhut

sach to ye hai ki khauf-e-junun se hawa ho ruh
sun lun jo aamad-amad-e-fasl-e-bahaar jhut

lana yaqin na 'kaif' ke aqwal-o-feal ka
guftar is ki jhuti hai sab karobar jhut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close