kya kare koi chaaragar yaro har asar jab ho be-asar yaro hum samajhte hain zist mein hum ne zakhm khae hain kis qadar yaro is se pahle ki bijliyan phunken phunk do bijliyon ke ghar yaro sarfaraazi hamein na mil pati hum na chadhte jo dar par yaro bach sakenge kahan padosi bhi jal to jaega mera ghar yaro faisla ho chuka jo hona tha ab ye kya hai agar-magar yaro tum ko manzil kabhi na mil pati hum na bante jo rahbar yaro tum hi munsif ho faisla kar do pesh hain zer aur zabar yaro be-rukhi hum se aakhirash kab tak ab to hum par bhi ek nazar yaro hum saza-war-e-har-saza yun hain ban sake hum na khud-nigar yaro aaina kar gae hain 'hairat' ko hazrat-e-'abr' aur 'qamar' yaro