itni hawa na waiz-e-din-dar bandhiye izzat sanbaaliye sar-e-dastar bandhiye gum kijiye hawas ko tafsir-e-hosh mein danish ko jahl jahl ko pindar bandhiye mahrum-e-hosh soiye par dije dad-e-hosh gul ko giyah dasht ko gulzar bandhiye bu chhiniye gulon se ki dete hain zauq-e-fan yun khush-nawa tuyur ki chahkar bandhiye ab juz hawa nahin hai girah mein hamari khak sau bar kholiye use sau bar bandhiye bhadki hai aag 'arsh' khayaban-e-bazm mein hadd-e-jalal-e-shoala-e-guftar bandhiye