mujh ko hasil jo wasf-e-dua ho gaya main jidhar chal pada rasta ho gaya nil mein jab wo utre to kya ho gaya zoam-e-firaun tuta fana ho gaya maut kis ki hai kab rizq hai kis qadar roz-e-awwal hi ye faisla ho gaya tham lunga main us din inan-e-jahan mehrban mujh pe jis din khuda ho gaya ek ek karke mohre sabhi pat gae un ki bazi ka yun khatma ho gaya yaad-e-rab aur zikr-e-habib-e-khuda roz-o-shab ye mera mashghala ho gaya main jo pahuncha 'habib' apne aaqa ke dar mujh pe lutf-e-shah-e-do-sara ho gaya