mumkin mujhe jo ho be-riya ho masnad ho ki is mein boriya ho jab qabil-e-did dil-ruba ho allah kare ki ba-wafa ho bheja nahin khat-e-shauq kab se malum hua ki tum khafa ho be-tabi-e-dil agar dikhaun koi na kisi ka mubtala ho marta hai zar pe ahl-e-duniya namard ko kab khwahish-e-tila ho mitti kar de jo aap ko to nazron mein khak kimiya ho aai hai fasl-e-gul chaman mein ai hosh-o-khirad chalo hawa ho kya mujhe dar-ba-dar phiraya ai khwahish-e-dil tera bura ho dikhlai tu ne yar ki shakl ai jazba-e-dil tera bhala ho lipto mujhe aa ke hijr ki shab ai gesu-e-yar agar bala ho ai 'muntahi' bazm-e-yar ka haal kya jaaniye baad mere kya ho