tare hamari KHak mein bikhre paDe rahe

tare hamari khak mein bikhre pade rahe
ye kya ki tere nain falak se lade rahe

hum the safar-nasib so manzil se ja mile
jo sang-e-mil the wo zamin mein gade rahe

logon ne int int par qabza jama liya
hum dam-ba-khud makan se bahar khade rahe

hum ko to jhulna hi tha insaf ke liye
ye kil kyun salib mein nahaq jade rahe

ranai apni chhinta hai mausamon se ab
mazi mein jis darakht ke patte jhade rahe

jin ki jaden zamin ke andar thin dur tak
wo ped aankhiyon ke muqabil ade rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close