hum ko shab-e-visal bhi ranj-o-mehan hua qismat khilaf-e-taba hua jo sukhan hua phir aane ki hawas mein sahar kis khushi ke sath hamrah-e-nala dard-e-jigar bhi man hua gardish bhi us ke kuche mein hai aur qarar bhi qismat to dekhiye ki safar mein watan hua qatil ada-e-shukr ko ya shikwon ke liye jo zakhm jism par hua goya dahan hua sabit-qadam hua na rah-e-ishq mein koi majnun koi hua to koi kohkan hua kuchh mujh se shab ko ghair ke izhaar ke liye ye ishq-bazi ki thi ki apna ye fan hua dushman se aur hotin bahut baaten pyar ki shukr-e-khuda ye hai ki wo but kam-sukhan hua lab par hansi wo aai wo chin-e-jabin gai kahta to hun khata hui diwana-pan hua aaina dekh dekh ke kya dekhte ho tum chhuna bhi yan nasib tumhaara badan hua ab bosa dene mein tumhein kis baat ka hai uzr gali ke dene se hamein sabit dahan hua haq baat to ye hai ki usi but ke waste zahid koi hua to koi barhaman hua taqdir ki ye baat hai ab kya kare koi raazi hue wo bose pe to gum dahan hua phir mere iztirab mein kyun shak hai aap ko ulfat ka jab yaqin tumhein ai jaan-e-man hua lab tak na aaya harf-e-tamanna kabhi 'nizam' goya mera sukhan bhi tumhaara dahan hua