mujhe bakhshi khuda ne kaun rokega zaban meri tumhein har haal mein sunni padegi dastan meri kabhi to shahrah-e-zindagi thi kahkashan meri magar ab karwan mera na gard-e-karwan meri abhi logon ke dil mein khar ki surat khatakta hun abhi tak yaad hai ahl-e-chaman ko dastan meri mere guzre hue tewar abhi bhuli nahin duniya abhi bikhri hui hain har taraf parchhaiyan meri meri aankhon mein aansu hain na honton pe tabassum hai samajh mein kya kisi ke aaegi tarz-e-fughan meri meri fitrat ko kya samjhenge ye khwab-e-giran wale sawere ke sitare ki chamak hai raaz-dan meri teri rah-e-talab mein zakhm sab sine par khae hain bahaar-e-gulsitan meri hayat-e-jawidan meri