ja chuka tufan lekin kapkapi hai waqt ki diwar ab tak hil rahi hai hum ne pahchana bahut logon ko lekin ek ek surat abhi tak ajnabi hai ab kirae ke makan mein ghut raha hun bap dada ki haweli bik chuki hai roz kahte ho magar kahte nahin ho wo kahani jo abhi tak an-kahi hai kaise guzra padh ke andaza laga lo waqt ki tafsir chehre par likhi hai andar andar main bikharta ja raha hun koi shai rah rah ke mujh mein tutti hai ghas ug aai dar-o-diwar-e-dil par khana-virani ka manzar didani hai