husn-e-farogh-e-shab hai zakhm-e-jigar hamara har-chand muntazir hai baam-e-sahar hamara ahbab ko mubarak ye shauq tirgi ka hai zauq raushni ka zad-e-safar hamara kyun bais-e-alam hon ye khun-chakan jabinen tha ibtida se dushman wo sang-e-dar hamara karte jo hum kinara us danish-o-hunar se ishrat-garon mein hota shayad guzar hamara parwarda-e-hawas jo husn-e-yaqin bhi hota ye karbala-e-dauran hota na ghar hamara kya kya hai naz hum ko is bakht-e-na-rasa par sidq-o-safa se rishta hai mo'atabar hamara dekhen 'sarosh' wo bhi is manzar-e-hasin ko jalwon ki aabru hai zakhm-e-jigar hamara