hum na hote kakh-e-musht-e-khak hota ghaaliban be-samaat naghma-e-laulak hota ghaaliban aap ne achchha kiya tathir-e-khwahish hi na ki warna zamzam chashma-e-napak hota ghaaliban aatish-e-karb-o-bala ne hosh ke nakhun liye josh mein sail-e-khas-o-khashak hota ghaaliban khud hi baatil-saz ne hangama-arai na ki khush-libas-e-haq bhi daman-chaak hota ghaaliban hadson ke khauf se ehsas ki had mein na tha warna nafs-e-mutmain saffak hota ghaaliban soch kar hi to lagaya hajib-e-shams-o-qamar la-makan par qabza-e-idrak hota ghaaliban shoalagi ne is ko 'rahi' sad-shikasta kar diya aaina dil surat-e-zahhak hota ghaaliban