jaan jaane ko hai aur raqs mein parwana hai kitna rangin mohabbat tera afsana hai ye to dekha ki mere hath mein paimana hai ye na dekha ki gham-e-ishq ko samjhana hai itna nazdik hue tark-e-talluq ki qasam jo kahani hai meri aap ka afsana hai hum nahin wo ki bhula den tere ehsan-o-karam ek inayat tera khwabon mein chala aana hai ek mahshar se nahin kam tera aana lekin ek qayamat tera pahlu se chala jaana hai khum o mina mai o masti ye gulabi aankhen kitna pur-kaif mere hijr ka afsana hai