hum na kahenge khud hi batao kya ye achchha karte ho phul se nazuk jism ke andar patthar sa dil rakhte ho tum se bichhad kar mar jaunga ya pagal ho jaunga mujh se juda ho kar tum bhi aaram se kab rah sakte ho ek se badh kar ek hasin hain chehre aur bhi duniya mein aakhir mujh ko ek tum hi kyon sab se achchhe lagte ho chalte ho to baad-e-saba bhi sath tumhaare chalti hai phul baraste hain honton se jab tum baaten karte ho ek main hun jo gham mein tumhaare khun ke aansu rota hun ek tum ho jo mujh ko pagal jaan ke mujh par hanste ho aap hi aap khincha jata hai dil kambakht tumhaari or aakhir mujh par o jadugar kya jadu kar baithe ho main hun ek badnam-e-zamana dekho mere sath na aao ho jaoge muft mein ruswa kyon nadani karte ho lagta hai tum ne bhi kahin par zakhm-e-mohabbat khaya hai tab hi to itne gum-sum aur khoe khoe rahte ho 'tabish' ye kya pagal-pan hai yaad mein ek harjai ke sari duniya soi hai tum baithe tare ginte ho