shokhi machal machal kar mastana kah rahi hai diwangi-e-wahshat diwana kah rahi hai ek shama jal rahi hai mere harim-e-dil mein jo soz-e-be-khudi ka afsana kah rahi hai har rang mein numayan har rang se bari ho meri nazar se puchho kya kya na kah rahi hai nargis ki aankh mein hai mai-kash ka raaz pinhan jis ko nigah teri paimana kah rahi hai sarmast chashm-e-saqi makhmur chashm-e-saqi mai-khana-e-azal ka afsana kah rahi hai lo dekh lo wo aae baada-ba-jam aae khush-amdid khak-e-mai-khana kah rahi hai saqi ki hai duhai saqi ki hai duhai tishna zaban-e-mai-kash mastana kah rahi hai is na-murad dil ne logon ka kya bigada kam-bakht ko jo duniya diwana kah rahi hai jis ne 'faza' ke dil ko makhmur kar diya hai us ka faza-e-alam afsana kah rahi hai