hum padh rahe the khwab ke purzon ko jod ke aandhi ne ye tilism bhi rakh dala tod ke aaghaz kyun kiya tha safar in khalaon ka pachhta rahe ho sabz zaminon ko chhod ke ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath dekho kabhi khud apne badan ko nichod ke kuchh bhi nahin jo khwab ki surat dikhai de koi nahin jo hum ko jagae jhinjhod ke in paniyon se koi salamat nahin gaya hai waqt ab bhi kashtiyan le jao mod ke