khushi se ranj ka badla yahan nahin milta wo mil gae to mujhe aasman nahin milta hazar dhundiye us ka nishan nahin milta jabin mile to mile aastan nahin milta majaz aur haqiqat kuchh aur hai yani teri nigah se tera bayan nahin milta bhadak ke shola-e-gul tu hi ab laga de aag ki bijliyon ko mera aashiyan nahin milta teri talash kafi-ul-jumla ma-hasal ye hai ki tu yahan nahin milta wahan nahin milta bata ab ai jaras-e-daur main kidhar jaun nishan-e-gard-e-rah-e-karwan nahin milta mujhe bula ke yahan aap chhup gaya koi wo mehman hun jise mezban nahin milta tujhe khabar hai tere tir-e-be-panah ki khair bahut dinon se dil-e-na-tawan nahin milta kisi ne tujh ko na jaana magar ye kam jaana ye raaz hai ki koi raaz-dan nahin milta mujhe aziz sahi qadr-e-dil tumhein kyun ho kami to dil ki nahin dil kahan nahin milta dayar-e-umr mein ab qahat-e-mehr hai 'fani' koi ajal ke siwa mehrban nahin milta