hum teri khatir-e-nazuk se khatar karte hain warna nale to ye patthar mein asar karte hain dil o din tha so liya aur bhi kuchh matlab hai bar bar aap jo idhar ko nazar karte hain faeda kya hai agar sharq se ta-gharb phire rah-rau we hain jo hasti se safar karte hain hum to har shakl mein yan aaina-khane ki misal aap hi aate hain nazar sair jidhar karte hain kya ho gar koi ghadi yan bhi karam farmao aap is rah se aakhir to guzar karte hain tere ayyam-e-firaq ai sanam-e-mehr-ghusil aah mat puchh ki kis tarah basar karte hain din ko phirte hain tujhe dhundne aur raat tamam shama ki tarah se ro ro ke sahar karte hain bas nahin khub ki aise ko dil apna dije aage tu jaan miyan hum to khabar karte hain ye wahi fitna-e-ashob-e-jahan hai 'bedar' dekh kar pir o jawan jis ko hazar karte hain