hum pe wo mehrban ziyaada hai is yaqin mein guman ziyaada hai kuchh kami hai to karwan mein yahi rahbar-e-karwan ziyaada hai hai to waiz khuda-parast magar lab pe zikr-e-butan ziyaada hai peshtar bhi yahi qafas tha magar ab ke shor-e-fughan ziyaada hai zulm ki khair ho ki azm-e-jawan aur bhi ab jawan ziyaada hai allah allah bazm-e-nau ke charagh raushni kam dhuan ziyaada hai kam na jaano kisi ko tum 'khawar' jo jahan hai wahan ziyaada hai