tufan se bach ke daman-e-sahil mein rah gaya mushkil ke baad aur bhi mushkil mein rah gaya ek shor tha jo gosha-e-mahfil mein rah gaya ek dard tha jo dil se utha dil mein rah gaya ab wo nigah-e-naz hui mail-e-karam jab koi muddaa na mere dil mein rah gaya manzil mere qarib se ho kar guzar gai aur main talash-e-jada-e-manzil mein rah gaya manzil fana-e-zauq-e-talab ka maqam thi achchha hua main sarhad-e-manzil mein rah gaya allah-re jazb-e-ishq ki husn-e-nigah-e-qais ek naqsh ban ke parda-e-mahmil mein rah gaya nala to khair nang-e-gham-e-ishq tha magar naghma bhi soz-o-saz ki mahfil mein rah gaya sare hijab-e-husn nigahon se hat gae ek aaina zarur muqabil mein rah gaya mujh se ye puchhti hain meri hichkiyan 'figar' ab kitna fasla teri manzil mein rah gaya