hum qatl kab hue ye pata hi nahin chala andaz tha ajab ki wo khanjar ajib tha ummid-e-baryabi to mujh ko na thi magar sahil pe aa gaya main samundar ajib tha dam-bhar ko bhi nigah na chehre pe tik saki us paikar-e-jamal ka tewar ajib tha tanha bhi rah ke hum kabhi tanha nahin hue hamrah us ki yaadon ka daftar ajib tha ham-dam guman hota tha phulon ki sej ka kharon se wo saja hua bistar ajib tha hum mahw-e-justuju the 'sahar' mustaqil magar manzil mili na phir bhi muqaddar ajib tha