masjid-o-mandir kalisa sab mein jaana chahiye dar kahin ka ho muqaddar aazmana chahiye mujh ko rone do mujhe rone mein milta hai maza muskurao tum ki tum ko muskurana chahiye khatm par mera safar hai dagmagate hain qadam aage badh kar un ko mera dil badhana chahiye zindagi bhar chal ke hum aae hain manzil ke qarib do-qadam ab chal ke manzil ko bhi aana chahiye hosh aaya zindagi ka bar utha lene ke baad bojh jitna uth sake utna uthana chahiye rakh diya ek din main jis ghar ko khandar kar ke 'nazir' us ko banne ke liye ab ek zamana chahiye