hum raaz-e-giraftari-e-dil jaan gae hain phir bhi teri aankhon ka kaha man gae hain tu shola-e-jaan nikhat-e-gham saut-e-talab hai hum jaan-e-tamanna tujhe pahchan gae hain kya kya na tere shauq mein tute hain yahan kufr kya kya na teri rah mein iman gae hain is raqs mein shole ke koi sehr to hoga parwane badi aan se qurban gae hain khinche hai mujhe dast-e-junun dasht-e-talab mein daman jo bachae hain gareban gae hain 'baqar' hai isi gard-e-rah-e-dil ka parastar jis rah se kuchh sahab-e-diwan gae hain