pyasa jo mere khun ka hua tha so khwab tha nindon mein zahr ghol raha tha so khwab tha kanta jo dil ke par hai tabir hai so ye sahra mein ek gulab khila tha so khwab tha ek iltija thi aankhon mein pathra ke rah gai ek aks sang-e-dar pe khada tha so khwab tha pahle zamin khak hui thi ba-sad-niyaz shab bhar phir aasman jala tha so khwab tha ek nahr thi jo chikh rahi thi bahaw se lashkar kanar-e-ab khada tha so khwab tha basti ka chashm-did akela gawah hun kal mere aas-pas khuda tha so khwab tha dubi zawal-e-sham ke hamrah har ummid palkon se tut kar jo gira tha so khwab tha dil ko yaqin na zehn ke hadd-e-qayas mein jo waqia 'mujibi' hua tha so khwab tha