juz guman aur tha hi kya mera faqat ek mera nam tha mera nikhat-e-pairahan se us gul ki silsila be-saba raha mera mujh ko khwahish hi dhundne ki na thi mujh mein khoya raha khuda mera thuk de khun jaan le wo agar aalam-e-tark-e-muddaa mera jab tujhe meri chah thi jaanan bas wahi waqt tha kada mera koi mujh tak pahunch nahin pata itna aasan hai pata mera aa chuka pesh wo murawwat se ab chalun kaam ho chuka mera aaj main khud se ho gaya mayus aaj ek yar mar gaya mera