khak mein mujh ko meri jaan mila rakkha hai kya main aansu hun jo nazron se gira rakkha hai ek tumhin ko nahin bechain bana rakkha hai arsh bhi to mere nalon se hila rakkha hai sorish-e-hijr ne ek sim-badan ke mujh ko aisa phunka hai ki iksir bana rakkha hai ek pari-wash ki inayat ne zamane mein mujhe waqt ka apne sulaiman bana rakkha hai apne saya se bhadak kar kaha us shokh ne yun mere allah kise sath laga rakha hai dil to deta hun meri jaan magar gham hai yahi mere armanon ne ghar is mein bana rakkha hai dil ke talib jo hua karte hain aashiq se hasin to unhen husn ne ye kaam sikha rakkha hai samne aate hue kis liye sharmate ho jab meri aankh mein ghar tum ne bana rakkha hai muft dil ko mere ai barq wash ulfat hai teri muztarib surat-e-simab bana rakkha hai teri duz-dida nigahen ye pata deti hain ki inhin choron ne dil mera chura rakkha hai mal chori ka nahin jab to bata do mujh ko tum ne kis chiz ko mutthi mein daba rakkha hai tum ne kyun dil mein jagah di hai buton ko 'sabir' tum ne kyun kaba ko but-khana bana rakkha hai