kis tabahi ke ye aasar nazar aate hain dasht mein bhi dar-o-diwar nazar aate hain uth gaya aankh se parda ki haqiqat badli jitne gham-khwar the khunkhar nazar aate hain sab ke chehron pe hai gham ashk hain aawazon mein dost sab mujh ko adakar nazar aate hain un ke sinon mein hai tufan-e-bala aasuda ye jo sahil pe subuksar nazar aate hain kya haqaeq ne mere sher ka jama pahna waqiye sab mere ashaar nazar aate hain kya ye sab log hain aaina-e-hairat tera sab ke rukh par tere anwar nazar aate hain apne daftar mein hai pindar-e-khudai un ko ye jo aajiz sar-e-darbar nazar aate hain