in buton se jo rah-o-rasm hai jari rakhna ai khuda-wand-e-jahan baat hamari rakhna palki aur janaze mein nahin aisa farq jo nibhe gor tak ai dil wo sawari rakhna ai gham-o-dard-o-alam aish-e-jahan fani hai kaam aaega mulaqat tumhaari rakhna gulshan-e-husn-e-butan phule phale ya-allah is chaman mein asar-e-baad-e-bahaari rakhna chashm-e-bulbul ka kamar-band rag-e-gul si kamar gul-badan ki tumhein zeba hai katari rakhna aashna dost nahin bahr-e-fana ai munim chashma-e-faiz hai daulat ise jari rakhna dil ki taqat ghate ya nur ghate aankhon se chahiye khatir-e-pur-nur tumhaari rakhna lakh ahbab sataen lab-e-shikwa na khulen madad ai hausla tu baat hamari rakhna hamin barson rahe hain tere liye khana-ba-dosh kuchh jagah dil mein jo rakhna to hamari rakhna hum se baaten rahen auron se rahe khamoshi itni ai ghuncha-dahan baat hamari rakhna wo muwahhid hun ki din raat hai raaziq se dua ek sarkar se rozi meri jari rakhna sar-e-hasid ke liye tegh-e-zaban kafi hai mujh mein aadat mere ustad ki jari rakhna 'rashk' jab tak rahe mahmud rahe duniya mein aabru bande ki ai hazrat-e-bari rakhna