kya kahiye dastan-e-tamanna badal gai un ki badalte hi duniya badal gai ye daur-e-inqilab hai khud-noshiyon ka daur har mai-kade mein gardish-e-mina badal gai har phul har kali pe barasta hai ab lahu rangini-e-bahaar-e-chaman kya badal gai nikhri hui bahaar mein chhaale hain khun-chakan apne qadam se qismat-e-sahra badal gai paiham tapak pade jo ba-hasrat huzur-e-dost in aansuon se sharah-e-tamanna badal gai aazadi-e-junun ka yahi kya maal tha zindan se dil-farebi-e-sahra badal gai wo khwab-e-zindagi tha jo hum dekhte rahe ai 'dil' khuli jab aankh to duniya badal gai