kyun dhundhti rahti hun use sare jahan mein wo shakhs ki rahta hai mere dil ke makan mein main wo nahin kahte hain jo kuchh aur karen aur jo kuchh hai mere dil mein wahi mere bayan mein ya-rab teri rahmat jo kabhi josh mein aae main soch bhi paun na kabhi wahm-o-guman mein kya zikr ki is zist mein kuchh khoya ki paya ab kuchh bhi to rakkha nahin is sud o ziyan mein masruf hun itni ki tawajjoh nahin deti deta hai sada koi mujhe qarya-e-jaan mein wo sang kabhi mom ki surat bane 'nusrat' ab itna asar laun kahan apni zaban mein