hum tere aalam-e-wahshat mein sahaare hue hain waqt badla to hamin pahle kinare hue hain muntazir aaj bhi hain takte hain tera rasta ek muddat se miyan tujh ko pukare hue hain hijr mein tere jo nikle hain meri aankh se ashk gir pade jab ye zamin par to sitare hue hain ruthne ka tere ab dukh nahin hoga hum ko hum isi karb mein ek umr guzare hue hain kabhi ye shahr shanasa bhi hua karta tha ab yahan sab ke sab ehsas ke mare hue hain neamat-e-ishq mayassar nahin aati sab ko sahab-e-zar bhi yahan hath pasare hue hain